Thursday, April 2, 2009

MAUSAM KO MAUSAM KI BAHARON NE LUTA,
HAME KASHTI NE NAHIN KINARON NE LUTA,
AAP TO DAR GAYE MERI EK HI KASAM SE,
AAPKI KASAM DEKAR HAMEN TO HAZARON NE LUTA….

Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein to roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho

Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho

Humari baton ne tumhaara dil kai baar behlaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho

Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana
Ek baar hamein apna banaa kar to dekho

khoye-khoye se rahte ho khayal kiska hai,

ye to bata do intezar kiska hai,

humein bhula do par ye naa bhoolo ki,

nai sadak par purana makaan kiska hai.

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,

tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,

hai meri dosti mein itna dum,

apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon ...!

jispe apna sar rakhti hogi
woh diwar rat bhar mahkti hogi

mere pyar ka wad aata hoga
jab daal mai namak chakhti hogi

jaha jaha chua kalayee ko maine
kanch ki chudiyon se dhakti hogi

meri mulakato ke vade gin ke
kapde teh kar kar ke rakhti hogi


jisme chupayee hai tesbeer meri
ab kitab bas bahi padhti hogi

jab jhankta hoga khidki se chand
unse kah dungi ye kahti hogi

koe shikva na hoga use mujshe
woh meri mazburiyan samjhti hogi

hum bhagwan ki hi sunte they janumanu
suna hai ab teri bhi "aarti" hogi
pyar ke rishte ka koi naam nahi hota,
mana ki iska koi anjaam nahi hota,
nibhane ki chahat ho agar dono taraf,
to umar bhar yah rishta naakam nahi hota.........
Ek uski ibadat, aur ek uska pyaar hai
Meri zindagi ka maksad, uska intezaar hai

Jo Poochi hai mujhse meri mohabbat ki inteha
Samjhiye har dhakan pe uska Ikhtiyaar hai

Dekhe jo koi cheerkar, kabhi seena bhi mera
Uss se hai jo Mohabbat, wo Beshumaar hai

Usse dekHne ki kHwahish kHwahish hi rahi
Deedar-e-lamhe ko betaab dil Ashqbaar hai

Choomne ki talab usse, mere labon se pooch
Usse chhoone ko Zaara zarra, Bekaraar hai

Gum-e-bebasi ke siwa aur diya bhi kya usse
Uski muskurahat aaj talak,,, mujhpar Udhaar hai

Fiza mein uski mehek, katre katre mein hai
Mera khuda pathhar nahin, mera yaar hai

Dar-ba-dar bhatakta, usse dhoondhta rehta hu
Woh yaheen hai,, yahin kaheen hai,,,, Aitbaar hai

Gum-e-Judaai lekar Jaane kya mila "Ehsaas"
Woh naheen hai. Kahin naheen hai.. fir bhi uska Intezaar hai
Kash Dil ki awaz me itna Asar ho jaye,
hum apko yad kare aur apko khabar ho jaye.
Aaj rab se itni hi dua hai,
Aap jo bhi chahe wo haqiqat ho jaye
जब कोई ख्याल दिल से टकराता है ॥
दिल ना चाह कर भी, खामोश रह जाता है ॥
कोई सब कुछ कहकर, प्यार जताता है॥
कोई कुछ ना कहकर भी, सब बोल जाता है ॥
"The Good Life Is Inspired By Love And Guided By Knowledge".

Followers