Saturday, November 14, 2009

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho

Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari

Banke khwaab baar baar nazar aate ho

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi

Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se

Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho

Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki

Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho

Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna

Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho

Suraj ki roshni,chanda ki chandni

Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab

Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho

Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho

Ek kasak dil mein dabi reh gayi,

Zindagi mein unki kami reh gayi,

Itni ulfat k baad b vo mujhe na mile..

Shayad meri mohabbat mein hi kuch kami reh gayi..

Lafzon mein keh na saka

Palkon se chup na saka

Bin kehkar reh na saka

Najane kya baat hai

Har pal khabon mein aapki hi yaad hai

Talaash karogi to koyi tumhe milhi jayega

Magar humari tarah tumhe kaun chahega

Zaroor koi chahat ki nazar se tumhe dekhega

Magar hamara dil kahan se layega?

phool se mehak ko mitya nahi jata,

suraj se kiran ko hatya nahi jata,

Dosti mai doori kitni bhi ho,

aap jaise dost ko bhuliya nahi jata

Tumhe dil main basaye rakhta hoon,

Aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon,

Tumhe meri nazar na lag jaye,

Iss liye nazarein jukaye rakhta hoon !!

"The Good Life Is Inspired By Love And Guided By Knowledge".

Followers