Friday, April 3, 2009


Jaane kitni gehri hei yeh tanhaai, dur-dur tak dikhti nahi tumhari parchaai,

khamoshi si ek labhoo pe hei hardam chaai, ek muskaan phir bhi jaane kahaan se hei aai ?

dil ke liye humare tumhare dil ka paigaam yeh layi,

aur kuch nahi to band nigaaho mein surat tumhari humne paai...

Kya kare yeh tanha raatein hume sone nahi deti ,
Chahte hei ji bhar ke rona par rone nahi deti ,
Yeh halat is kadar dil ko bekaraar kar jaati hei,
Ki chahat hei sone ki par sokar khwaboo mein khone nahi deti...!

Ein Nigaho se humein aise na dekho humari jaan jati hai,

Jaan Jane ko hi hoti hai par tumhe dekhkar jine ki aas hoti hai


Guzri hei raat aadhi, sabh logg so rahe hei

Yanha hum akele mei beithe, teri yaadon mei ro rahe hei

Jo gir chukka ushe kyon girate ho,
Jalaa kar aashiyana ushi ki raakh udaate ho
Aate the khayalon me, ab sapnon me bhi aate ho
Apne chahne waalon ko,kyon itna tadpaate ho
Hum hain bechain yahan, tum wahan muskuraate ho
Dil to liya hamara, ab kya jaanlena chahte ho.....

Teri yaaden bhi,tujh si zalim hain,

Jab dekhti hain tanha hamen, sataane chali aati hain....


Jindagi mei hei lamher char,

Intazaar, Eithbaar, Ikraar aur Pyaar!


jhooti hansi hansne ki aadat ho gayi hai,

zindagi teri yaadon ki ibaadat ho gayi hai,

bas saans chal rahi hai is murde mein ab,

rooh to tere saath hi rukhsat ho gayi hai ...!

Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho,

Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho,

Mujhe maut ka dar na hoga,

Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana, tum hi toh ho jaan hamaari !
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai,
Main Tanha Gunahgar To Nahi
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
us ke bina jiya nahi ja sakta.
"The Good Life Is Inspired By Love And Guided By Knowledge".

Followers